Meerut - my hometown
From chilhood to bcom an engg gradute
Main apni cycle pe is sahar
ki doorie napta tha...
i started cycling whn i m in
3rd std n till my engg degree
i used tht cycle...
meri cycle bahut purane model
ki thi bt evn thn due to propr
maintenance main use bahut tej
bhga pata tha...
mera school saket me tha n mera
ghar wahan se kareeb 12-14km door....
main aur meri sister apni apni
cycle se daily school jaate the.
School pahunchte hi saari thkaan
door ho jati thi.
road pe sabse aage rehne ki chahat
jise pura karne k liye kisi bhi
tarah ka risk le leta tha....
jab sabhi aage nikal rahe hain
to hum kyun peeche rhen...??
cycle tej chlate -chlate aksar
chain nikal jati thi tab bahut
gussa aata tha...kyunki tab sab aage nikal jayenge....
main jab InterCollege main gya tab lga ki sahar ka sabse bda college hai...n really wo sahar ka sabse bda aur purana college tha....angrajo k jamane ka...lal pathar us government coll ki pehchaan hain...itne area me aajkal engg college ban jate hain!!!! main wahan 9th n 10th hi kar ska n 11th n 12th k liye maine ek doosre
InterCollege me admission liya....
jo ki meerut ka bahut hi famous Boys
Inter Colege hai...
Its SanatanDharmaInterCollege wahan
hum SarvaDharmaSambhav ki prayer kiya
karte the.....abhi bhi main un guno
ko poori tarah se nahi apne ska jo
maine wahan seekhe the ....
yahan hmare ek guruji the jinke baal poori tarah se budhape ka sanket dete the lekin unki energy kisi yuvak se kam nahi...
wo hmare discipline teacher the... chote se bde tak sabhi unki respect kiya karte the.
Hmare meerut ka main spot Begumpul...
sabse bsy crossing....jahan sahar ka sabse mehenga bazaar hai...Abulane aur sahar ka
sabse sasta bhi-Lalkurti panth...
Abulane me original brands hi milte hain to lalkurti me unke duplicate..sirf chand kadmo ke faasle pe!!!
yahin sahar ka sabse purana aur famous mandir bhi hai ...KaliPaltan ka mandir jahan mangalPande ne apne sathiyo k sath saran li thi...Shivratri pe yahan ki sjawat dekhne layak hoti hai....Shivbhakt jal chdhane k liye subah se katar lga lete hain ... ye katarain raat
hote hote hi choti ho pati hain BegumPul
k pass hi MeerutCantt hai....
sahar ka sabse saaf area....
yahan pe ek Pakistani tank bhi hai jo
ab bacho k khelne ka khilona bhar hai....
bachhe uspe sawari karte hain 1971 ki
war me hmari sena ne us tank ko jeeta
tha ...
yahan ka Nauchandi Mela bachon
ko saalBhar intezaar karata hai.... poore ek mahine chalne wala ye mela March me Holi ke baad start hota hai.... yahan saare UP se log aate hain aur apne hunar se mele ki ronak bdhate hain...
HastShilp ,Kadhaii ki vastuyen yahan bahut aasani se aur bahut hi kifayati damo pe mil jati hain....yahan ka Haluwa - Paratha aur Nankhtayi sabhi ki favourite hain... yahan mushayre ka mahol raat bhar chalta hai... is mele se bahut se ghron ki roji roti chalti hai... Ye mele sahi maayne me hmare Bharat ki sanskrit ki pehachaan hain!!